Wednesday 1 July 2015

The TRUE Story of Indian Monsoon I Simran Ka Siyaapa



Hilarious video on Indian monsoons. Simran shows what are the expectations and what are the realities related to the #Monsoons. Watch this funny video to know more :)

Friday 20 February 2015

Misraa Badlapur Movie Review

Dekhiey Ji abki baar hamm dekh kar aaya hoon #badlapur. Areyy uuu ambernath station ka aagey waala #badlapur nahi, Varun dhawan waala badlapur filam. Bataiey Bollywood ko #badlapur sey kuch jyaada hi pyaar ho gaya hai. Pahley aaya badlapur boyz aur phir badlapur. Ab jab dui filam badlapur par bana liya toh hamrey Bhayander bhi ek thoo film banaiey. He he he. Toh bhaiyaa Badlapur ki aahaani hai badley ka. Rebengeee I say. Varun Dhawan yaani raghu ka hastaa kheltaa pariwaar ek biwi aur baccha,  bank robber vinay Pathak aur nawazzudin key haathon maare jaate hain. Bas phir seedha saadha raghu ban jaata hai roadies waala raghu. He becomes angry bird. Film ki shuraat mein aapko raghu par badi DAYA aati hai lekin film key end takk yeh sympathy nafratt mein badal jaati hai. Director Shri Ram Raghvan ka direction badhiyaa raha bas interval key baad raghavan sahab thoda dheeley padd gaye. Acting department mein nawzuudin hameshaa ki tarah todu kaam kiey hain. Varun dhawan bhi theek thaak kaam kiey hain lekin kai jagah apney anger ki hunger ko barkaraar nahi rakh paaye. Accha Varun dhawan ki biwi ka role mein rahi yami Gautam. Inkey liye toh bhai taaliyan bajaiey. Haan. action Jackson mein Woh puri film mein maar khaayi thii. Is film mein maar bhi khaayi hain aur goli bhi. Issey kehtey hain improvement. Promotion. Kulmilaakar film badi kasi hui hai aur climax KO chhod kar kahin bhi aapko disaapoint toh nahi karti. Issi baat pey haam film badlapur KO dey raha hoon 5 mein sey 3 (teen) bhonpu. Agar kuch naya dekhnaa hai toh pehli fursatt mein badlapur jaaiey aur agar picnic jaana hai toh badlapur key aagey KARJAT jaaiey. He he he. Chaltey hain agli baar dekh kar aayengay ayushamnn khurana ka filam Dumm Laga key haishaa.

Friday 13 February 2015

Misraa Movie Review ROY

Dekhiey Ji abki baar ham dekh kar aaya hoon dui filam. Ek toh raha MSG aur Dusra raha ROY. MSG toh hamm nahi dekh kyunki aaj hamm non veg khaaya hai isiliye babaji ka filam kaisey dekhengay??  Toh isiliye hamm dekha film ROY Filam ka kahaani ek filam director kabir yaani arjun rampal ke baare mein hai. Ab arjun babu KO filam ke liye koi inspiration nahi mil rahi hoti toh unki  inspiration ban jaati hain Jacqueline. Aur inspiration sey inspire hokar eeee Jo kahaani likhtey hain uskaa ek character hotey hain ranbir kapoor.  Filam ka kahaani interesting hai lekin filam itnaa dheerey bhaagti hai ki beech main toh hamri neend  lag gayi. Woh toh bhala ho filam key gaanon ka Jo jinhoney alarm ka kaam kiya aur need sey hamey uthaa nahi toh ham review kaisann kartey. Director sahab the end ke liye ek suspense bana key rakhtey hain lekin climax dekhkey aisaa lagtaa hai maano.khoda pahaad nikli chuhiyaa. Filam mein arjun rampal ka actiing theek hai aur ranbir ka acting aisaa hai.maano.kisi ney maar peet key zabardasti acting karwaaya hai. Teeno actor mein sabse jyaada footage khaayi hain Jacqueline. Lekin this footage is only wastage of time nd ur paisaa. isi baat par hamm filam roy KO dey raha hoon 5 mein sey 2 bhonpu. Agli baar dekh kar aaunga badlapur.


Friday 6 February 2015

Shamitabh Movie Review with Misraa's point of view

Dekhiey Ji balki aur bachchaan ka combination hameshaa sey raha hai deadly ....lekin abki baar filam shamitabh main yeh combination  ban gaya piddly. Piddly yaani chota mota. Film mein dhanush baney hain ek actor Jo gungey hain aur unki  awaz baney hain the one and lonely Amitabh bachchan. Lonely isiliye ki filam mein Amitabh kabristaan mein rehtey dikhaaye gaye hain. In dono key ego KO manage karney waali manager bani hain Kamal hasan ki beti akshara hasan. Yeh hasan badi hasinaa rahi. Amitabh aur Dhanush ka ego sey bada raha balki ji ka ego jo khud ko acchi lagey aisei filam banaye hain. Balki ji jo jantaa itni expectation key saath film dekhne jaayegi uskaa kya? Kuch bhi karney kaa par jantaa ka ego hurt nahi karney kaa. Waiaey Balki ji filam ka idea accha pakdey lekin this idea can not change ur life. Sasur idea kaa karein jab story makes u feel sorry.  Filam ka shuruaat sey lekar interval takk balki accha mahaul set kiye hain lekin interval key bad film saare kiye karaye par pani fer deti hai. Itnaa hi nahi climax mein bhi balki ji haath ko aaya mooh na laga waali feeling diey hain. Acting ka baat karein toh amitabh khadoos character itnaa badhiyaa nibhaaye hain ki hamkaa unkey character sey nafratt Hui gawa. Akshara Ji ka acting toh theek thaa but hindi ka akshar bolney mein unko bada problem aaya. Aur dhanush kaa acting aisaa thaa maano ranjhnaa film KO mute karkey dekh rahey hain. Nothing new i say. Kulmilaakar filam mein dil chuuney waali Kai cheezin thii pur fir bhi dil KO touch nahi kar paayi shamitabh isiliye hamm is film KO dey raha hoon 5 mein sey 2.5 bhonpu. End mein yahi kahengay ki iss film ko dekhkar aaj khush toh naa hogay tum. Agli baar dekh kar aayengay ranbir kapoor ka roy. Tab tak key liye bye bye.